us chand ko tum dil mein chhupa kyun nahin lete
us chāñd ko tum dil meñ chhupā kyuuñ nahīñ lete
is pyaas kī shiddat ko bujhā kyuuñ nahīñ lete
gar pyaar kī ātish meñ sulagne meñ mazā hai
phir ishq meñ tum ḳhud ko jalā kyuuñ nahīñ lete
ye lāsha-e-jāñ aa.egā ab kaun uThāne
is bojh ko kāñdhoñ pe uThā kyuuñ nahīñ lete
is shahr meñ haiñ laakh tabīboñ kī dokāneñ
bīmār hai gar dil to davā kyuuñ nahīñ lete
hai dil meñ 'riyāz' apne chhupī dard-kahānī
ro-dho ke zamāne ko sunā kyuuñ nahīñ lete
us chand ko tum dil mein chhupa kyun nahin lete
is pyas ki shiddat ko bujha kyun nahin lete
gar pyar ki aatish mein sulagne mein maza hai
phir ishq mein tum KHud ko jala kyun nahin lete
ye lasha-e-jaan aaega ab kaun uThane
is bojh ko kandhon pe uTha kyun nahin lete
is shahr mein hain lakh tabibon ki dokanen
bimar hai gar dil to dawa kyun nahin lete
hai dil mein 'riyaz' apne chhupi dard-kahani
ro-dho ke zamane ko suna kyun nahin lete
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 102)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.