us chashm-e-ashk-e-bar ki zid raegan to ho
us chashm-e-ashk-e-bār kī zid rā.egāñ to ho
merī fasīl-e-sabr kā koī nishāñ to ho
ye kyā ki ek samt hī jaatī hai zindagī
kuchh kārobār-e-shorish-e-sūd-o-ziyāñ to ho
jannat sī koī chiiz ho ġham kā muāvza
be-shak sukūñ yahāñ na ho lekin vahāñ to ho
jabran na kuchh milegā to isrār kījiye
be-dast-o-pā huuñ chhoḌiye muñh meñ zabāñ to ho
le jā.iye badan ko bhī āḳhir kahāñ pe aap
koī zamīñ to ho kahīñ ik āsmāñ to ho
aa.e yaqīn kyoñ hameñ jaltā thā ik badan
be-shak na aag ho kahīñ lekin dhuāñ to ho
us chashm-e-ashk-e-bar ki zid raegan to ho
meri fasil-e-sabr ka koi nishan to ho
ye kya ki ek samt hi jati hai zindagi
kuchh karobar-e-shorish-e-sud-o-ziyan to ho
jannat si koi chiz ho gham ka muawza
be-shak sukun yahan na ho lekin wahan to ho
jabran na kuchh milega to israr kijiye
be-dast-o-pa hun chhoDiye munh mein zaban to ho
le jaiye badan ko bhi aaKHir kahan pe aap
koi zamin to ho kahin ek aasman to ho
aae yaqin kyon hamein jalta tha ek badan
be-shak na aag ho kahin lekin dhuan to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.