us chashm-e-mai-gusar ki aahista naghmagi
us chashm-e-mai-gusār kī āhista naġhmagī
phir sho.ala-āfrīñ nazar aatī hai zindagī
us shoḳh kī nigāh meñ āyāt-e-ḳhamriyāt
shān-e-rubūdgī meñ adā-e-supurdagī
phir aam ho ga.iiñ tire jalvoñ kī nik.hateñ
naġhma-tarāz hai tire qāmat kī nāzukī
ye aur baat hai ki mirā dil udaas hai
ab bhī javāñ hai us qad-e-ra.anā kī dilbarī
tū dil-girafta kyoñ hai abhī rahguzār meñ
baaqī hai naqsh-e-pā kī shafaq-rang raushnī
garche charāġh-e-mimbar-o-mehrāb bujh ga.e
hotā hai phir bhī dil meñ charāġhāñ kabhī kabhī
us chashm-e-mai-gusar ki aahista naghmagi
phir shoala-afrin nazar aati hai zindagi
us shoKH ki nigah mein aayat-e-KHamriyat
shan-e-rubudgi mein ada-e-supurdagi
phir aam ho gain tere jalwon ki nikhaten
naghma-taraaz hai tere qamat ki nazuki
ye aur baat hai ki mera dil udas hai
ab bhi jawan hai us qad-e-rana ki dilbari
tu dil-girafta kyon hai abhi rahguzar mein
baqi hai naqsh-e-pa ki shafaq-rang raushni
garche charagh-e-mimbar-o-mehrab bujh gae
hota hai phir bhi dil mein charaghan kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.