us dard se bhi tujhse jo mansub raha hai
us dard se bhī tujh se jo mansūb rahā hai
har chiiz se har shaḳhs se man uub rahā hai
kyā jāniye kal sub.h ubhartā hai kidhar se
ik dil jo sar-e-shām kahīñ Duub rahā hai
ab hosh meñ aaya huuñ to achchhā hai ye uslūb
mai pī ke bahaknā bhī magar ḳhuub rahā hai
hairāñ huuñ use kaise na pahchān sakā maiñ
vo shaḳhs jo barsoñ mirā matlūb rahā hai
zāhir hai tire tark-e-ta.alluq kī adā se
ik vaqt meñ tū kitnoñ kā mahbūb rahā hai
chaḌhte hue sūraj ko salām us kā bhī kah do
jo shaḳhs sar-e-vādi-e-shab Duub rahā hai
munkir hai na.e daur kā har fard hī us se
sadiyoñ se zamāne kā jo uslūb rahā hai
us dard se bhi tujh se jo mansub raha hai
har chiz se har shaKHs se man ub raha hai
kya jaaniye kal subh ubharta hai kidhar se
ek dil jo sar-e-sham kahin Dub raha hai
ab hosh mein aaya hun to achchha hai ye uslub
mai pi ke bahakna bhi magar KHub raha hai
hairan hun use kaise na pahchan saka main
wo shaKHs jo barson mera matlub raha hai
zahir hai tere tark-e-talluq ki ada se
ek waqt mein tu kitnon ka mahbub raha hai
chaDhte hue suraj ko salam us ka bhi kah do
jo shaKHs sar-e-wadi-e-shab Dub raha hai
munkir hai nae daur ka har fard hi us se
sadiyon se zamane ka jo uslub raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.