us ek dar ko bhi diwar kar ke aaya hun
us ek dar ko bhī dīvār kar ke aayā huuñ
maiñ apne aap se inkār kar ke aayā huuñ
mujhe ḳhabar hai ki ye pyaas maar Dālegī
magar maiñ aab ko dushvār kar ke aayā huuñ
bachā bachā ke rakhā thā jise zamāne se
vo gumbad aaj maiñ mismār kar ke aayā huuñ
mubādā ḳhvāb bikharnā muhāl ho jaa.e
maiñ ḳhud ko niiñd se bedār kar ke aayā huuñ
na tairtī thī na jo Dūbtī thī muddat se
havāle kashtī ko mañjdhār kar ke aayā huuñ
mirā qusūr bas itnā hī sā to hai 'ayyūb'
ki Dūbte ko maiñ us paar kar ke aayā huuñ
us ek dar ko bhi diwar kar ke aaya hun
main apne aap se inkar kar ke aaya hun
mujhe KHabar hai ki ye pyas mar Dalegi
magar main aab ko dushwar kar ke aaya hun
bacha bacha ke rakha tha jise zamane se
wo gumbad aaj main mismar kar ke aaya hun
mubaada KHwab bikharna muhaal ho jae
main KHud ko nind se bedar kar ke aaya hun
na tairti thi na jo Dubti thi muddat se
hawale kashti ko manjdhaar kar ke aaya hun
mera qusur bas itna hi sa to hai 'ayyub'
ki Dubte ko main us par kar ke aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.