Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us gul-badan ka raaz bahaaron se puchhiye

Sahir Lakhnavi

us gul-badan ka raaz bahaaron se puchhiye

Sahir Lakhnavi

us gul-badan raaz bahāroñ se pūchhiye

phūloñ se pūchhiye ki nazāroñ se pūchhiye

har dam yaqīñ ḳhudā pe rakhiye tamām umr

ahvāl-e-zīst apnā na tāroñ se pūchhiye

kāsa-ba-dast kitne haiñ shahroñ meñ gaañv meñ

ġhurbat lambī lambī qatāroñ se pūchhiye

lab kholne meñ hotā hai rusvā.iyoñ Dar

jo kuchh bhī pūchhnā hai ishāroñ se pūchhiye

aa.egā kab kisī ko yaqīñ merī baat par

merī haqīqateñ mire yāroñ se pūchhiye

'sāhir' na un se pūchhiye jin ko nahīñ hai qadr

kyā shai hai maañ ye maañ ke dulāroñ se pūchhiye

us gul-badan ka raaz bahaaron se puchhiye

phulon se puchhiye ki nazaron se puchhiye

har dam yaqin KHuda pe hi rakhiye tamam umr

ahwal-e-zist apna na taron se puchhiye

kasa-ba-dast kitne hain shahron mein ganw mein

ghurbat ki lambi lambi qataron se puchhiye

lab kholne mein hota hai ruswaiyon ka Dar

jo kuchh bhi puchhna hai ishaaron se puchhiye

aaega kab kisi ko yaqin meri baat par

meri haqiqaten mere yaron se puchhiye

'sahir' na un se puchhiye jin ko nahin hai qadr

kya shai hai man ye man ke dularon se puchhiye

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now