us jangal se jab guzroge to ek shiwala aaega
us jañgal se jab guzroge to ek shivāla aa.egā
vahāñ ruk jaanā vahāñ rah jaanā vahāñ sukh kā ujālā aa.egā
ye soch ke uThnā har din tum is dil kā phuul khilegā zarūr
is aas pe sonā ab kī shab koī ḳhvāb nirālā aa.egā
jab us ke haath nayā maazī is saf.ha-e-arz pe likkheñge
jab sahar o shaam raqam hoñge tab merā havāla aa.egā
is be-andesha sahrā meñ is ūñghne vaalī ummat par
kab jāgne vaalā utregā kab sochne vaalā aa.egā
phir rūheñ zaḳhmī zaḳhmī haiñ phir koḌh se dukhne aa.e badan
yuuñ lagtā hai ki shafā.at ko phir koī gvālā aa.egā
ai rāh-e-suḳhan ke rāh-ravo dil-shād raho is raah meñ bhī
ḳhushbū kī savārī Thahregī rañgoñ kā piyāla aa.egā
us jangal se jab guzroge to ek shiwala aaega
wahan ruk jaana wahan rah jaana wahan sukh ka ujala aaega
ye soch ke uThna har din tum is dil ka phul khilega zarur
is aas pe sona ab ki shab koi KHwab nirala aaega
jab us ke hath naya mazi is safha-e-arz pe likkhenge
jab sahar o sham raqam honge tab mera hawala aaega
is be-andesha sahra mein is unghne wali ummat par
kab jagne wala utrega kab sochne wala aaega
phir ruhen zaKHmi zaKHmi hain phir koDh se dukhne aae badan
yun lagta hai ki shafaat ko phir koi gwala aaega
ai rah-e-suKHan ke rah-rawo dil-shad raho is rah mein bhi
KHushbu ki sawari Thahregi rangon ka piyala aaega
- Book : siip-volume-47 (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.