us ka aana to KHwab jaisa tha
us kā aanā to ḳhvāb jaisā thā
us kā jaanā azaab jaisā thā
shab kī tanhā.iyoñ ke sahrā meñ
ek sapnā sarāb jaisā thā
un gunāhoñ kī yaad aatī hai
jin kā karnā savāb jaisā thā
merī āñkheñ hī paḌh nahīñ pā.īñ
us kā chehra kitāb jaisā thā
us ko chhūne se jal ga.iiñ āñkheñ
duur se jo gulāb jaisā thā
kis ko batlā.ūñ mudda.ā 'jauhar'
haal sab kā ḳharāb jaisā thā
us ka aana to KHwab jaisa tha
us ka jaana azab jaisa tha
shab ki tanhaiyon ke sahra mein
ek sapna sarab jaisa tha
un gunahon ki yaad aati hai
jin ka karna sawab jaisa tha
meri aankhen hi paDh nahin pain
us ka chehra kitab jaisa tha
us ko chhune se jal gain aankhen
dur se jo gulab jaisa tha
kis ko batlaun muddaa 'jauhar'
haal sab ka KHarab jaisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.