us ka ab koi puchhta hi nahin
us kā ab koī pūchhtā hī nahīñ
jis kā duniyā meñ kuchh bachā hī nahīñ
ek raste meñ rāste haiñ hazār
ek manzil kā rāsta hī nahīñ
ġhair ke dard hī ko sahtā huuñ
dard apnā kabhī sahā hī nahīñ
ham safar par nikal paḌe lekin
kahāñ jaanā hai ye patā hī nahīñ
aaj is se huā kal us se huā
'ishq kī koī intihā hī nahīñ
us kī ab yaad aa rahī hai tumheñ
koī duniyā meñ jab rahā hī nahīñ
'ishq kā bhī 'ajīb silsila hai
aaj tak jis kā silsila hī nahīñ
maiñ faqat zindagī guzārtā huuñ
mujh meñ jiine kā hausla hī nahīñ
mujh ko us se 'naqī' jo kahnā thā
maiñ ne us se kabhī kahā hī nahīñ
us ka ab koi puchhta hi nahin
jis ka duniya mein kuchh bacha hi nahin
ek raste mein raste hain hazar
ek manzil ka rasta hi nahin
ghair ke dard hi ko sahta hun
dard apna kabhi saha hi nahin
hum safar par nikal paDe lekin
kahan jaana hai ye pata hi nahin
aaj is se hua kal us se hua
'ishq ki koi intiha hi nahin
us ki ab yaad aa rahi hai tumhein
koi duniya mein jab raha hi nahin
'ishq ka bhi 'ajib silsila hai
aaj tak jis ka silsila hi nahin
main faqat zindagi guzarta hun
mujh mein jine ka hausla hi nahin
mujh ko us se 'naqi' jo kahna tha
main ne us se kabhi kaha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.