us ka andaz hai juda sab se
us kā andāz hai judā sab se
fāsla sab se rābta sab se
log masrūf haiñ fasānoñ meñ
aap kah diije vāqi.a sab se
jaane kyoñ tai huā nahīñ ab tak
do qadam hī kā fāsla sab se
chañd nāmoñ pe parda rahne do
merī itnī hai iltijā sab se
chup rahā kartā hai 'na.īm' aksar
jab se vāqif vo ho gayā sab se
us ka andaz hai juda sab se
fasla sab se rabta sab se
log masruf hain fasanon mein
aap kah dije waqia sab se
jaane kyon tai hua nahin ab tak
do qadam hi ka fasla sab se
chand namon pe parda rahne do
meri itni hai iltija sab se
chup raha karta hai 'naim' aksar
jab se waqif wo ho gaya sab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.