us ka asar nason mein yun ghulta chala gaya
us kā asar nasoñ meñ yuuñ ghultā chalā gayā
patthar sā but banā maiñ pighaltā chalā gayā
us se zarā sī der ko kyā guftugū huī
mausam udaas dil kā badaltā chalā gayā
miTTī kā ik diyā thā havāoñ ke darmiyāñ
jalne pe aa gayā to vo jaltā chalā gayā
pahle to us meñ koī bhī jumbish nahīñ huī
phislā jo ek baar phisaltā chalā gayā
qatra thā ham ne us ko samundar banā diyā
phir vo hamārī pyaas nigaltā chalā gayā
jaane kahāñ kahāñ se mujhe hausla milā
chalnā thā duur tak so maiñ chaltā chalā gayā
us ka asar nason mein yun ghulta chala gaya
patthar sa but bana main pighalta chala gaya
us se zara si der ko kya guftugu hui
mausam udas dil ka badalta chala gaya
miTTi ka ek diya tha hawaon ke darmiyan
jalne pe aa gaya to wo jalta chala gaya
pahle to us mein koi bhi jumbish nahin hui
phisla jo ek bar phisalta chala gaya
qatra tha hum ne us ko samundar bana diya
phir wo hamari pyas nigalta chala gaya
jaane kahan kahan se mujhe hausla mila
chalna tha dur tak so main chalta chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.