us ka ek ik guzar nahin bhula
us kā ik ik guzar nahīñ bhūlā
aaj tak vo safar nahīñ bhūlā
merā ḳhud par bhī iḳhtiyār nahīñ
maiñ tujhe chaah kar nahīñ bhūlā
apnā fan tū bhī kho nahīñ paayā
maiñ bhī apnā hunar nahīñ bhūlā
ek pal meñ bhulā diyā us ne
maiñ jise 'umr bhar nahīñ bhūlā
merī jānib na aanā phir se ki maiñ
tere jaane kā Dar nahīñ bhūlā
mujh ko maañ kī du'ā.eñ yaad nahīñ
lekin un kā asar nahīñ bhūlā
ye mohabbat nahīñ to kyā hai 'naqī'
duur rah kar agar nahīñ bhūlā
us ka ek ek guzar nahin bhula
aaj tak wo safar nahin bhula
mera KHud par bhi iKHtiyar nahin
main tujhe chah kar nahin bhula
apna fan tu bhi kho nahin paya
main bhi apna hunar nahin bhula
ek pal mein bhula diya us ne
main jise 'umr bhar nahin bhula
meri jaanib na aana phir se ki main
tere jaane ka Dar nahin bhula
mujh ko man ki du'aen yaad nahin
lekin un ka asar nahin bhula
ye mohabbat nahin to kya hai 'naqi'
dur rah kar agar nahin bhula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.