us ka kamal hai ki KHizan par bahaar hai
us kā kamāl hai ki ḳhizāñ par bahār hai
hadd-e-nazar talak jo tilismī hisār hai
aage bhī sub.h tak nahīñ raushan koī surāġh
pīchhe bhī duur duur ye tārīk ġhaar hai
jhoñke kahīñ se aate haiñ taaza havāoñ ke
kunj-e-qafas kahīñ koī rāh-e-farār hai
in ābloñ ko paañv se nisbat hai dā.imī
aage yahī safar hai yahī ḳhārzār hai
thā ik shajar buland jo āñdhī meñ gir gayā
bastī tamām us ke liye sogvār hai
'betāb' tum faqīr kahāñ aa ga.e miyāñ
is shahr meñ ik ek bashar shahr-e-yār hai
us ka kamal hai ki KHizan par bahaar hai
hadd-e-nazar talak jo tilismi hisar hai
aage bhi subh tak nahin raushan koi suragh
pichhe bhi dur dur ye tarik ghaar hai
jhonke kahin se aate hain taza hawaon ke
kunj-e-qafas kahin koi rah-e-farar hai
in aablon ko panw se nisbat hai daimi
aage yahi safar hai yahi KHarzar hai
tha ek shajar buland jo aandhi mein gir gaya
basti tamam us ke liye sogwar hai
'betab' tum faqir kahan aa gae miyan
is shahr mein ek ek bashar shahr-e-yar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.