us ka KHayal dil se utarne ke baad bhi
us kā ḳhayāl dil se utarne ke baa'd bhī
baḌhtā gayā hai dard sañbhalne ke baa'd bhī
tark-e-ta'alluqāt thā gar merā faisla
vo kyoñ hai mere saath bichhaḌne ke baa'd bhī
hai us kā lams merī hathelī pe ab talak
hāthoñ se us kā haath nikalne ke baa'd bhī
havvā ko to ḳhudā ne banāyā thā is liye
kuchh kam thā kā.enāt ke banñe ke baa'd bhī
lagtī hai merī ziist bhī mushkil sā ik savāl
aur phir javāb denā hai marne ke baa'd bhī
dilbar kī ye adā to 'atā-e-nasīb hai
ab vo bigaḌ rahā hai sañvarne ke baa'd bhī
'shamsa' maiñ apnī zaat ke baare meñ kyā kahūñ
ye to nikhar rahī hai bikharne ke baa'd bhī
us ka KHayal dil se utarne ke ba'd bhi
baDhta gaya hai dard sanbhalne ke ba'd bhi
tark-e-ta'alluqat tha gar mera faisla
wo kyon hai mere sath bichhaDne ke ba'd bhi
hai us ka lams meri hatheli pe ab talak
hathon se us ka hath nikalne ke ba'd bhi
hawwa ko to KHuda ne banaya tha is liye
kuchh kam tha kaenat ke banne ke ba'd bhi
lagti hai meri zist bhi mushkil sa ek sawal
aur phir jawab dena hai marne ke ba'd bhi
dilbar ki ye ada to 'ata-e-nasib hai
ab wo bigaD raha hai sanwarne ke ba'd bhi
'shamsa' main apni zat ke bare mein kya kahun
ye to nikhar rahi hai bikharne ke ba'd bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.