us ka manzar to sab guman mein tha
us kā manzar to sab gumān meñ thā
sirf saaya hī us makān meñ thā
dost merā thā aur na us kā vo
ik ajab shaḳhs darmiyāñ meñ thā
sar barahna thā harf-harf meñ vo
pā-ba-jaulāñ har ik nishān meñ thā
sabz aur surḳh thā badan us kā
aur hañstā huā sā jaan meñ thā
vo madad ko pukārtā kis ko
āḳhirī shaḳhs imtihān meñ thā
mauj-e-dariyā se uTh rahā thā dhuāñ
tishna-lab koī apnī shaan meñ thā
āñdhiyāñ chal rahī thiiñ tīroñ kī
ik diyā thā jo apnī aan meñ thā
saarā manzar lahū lahū thā jab
āsmāñ bhī ajiib shaan meñ thā
hashr barpā thā mere siine meñ
shor sā ek merī jaan meñ thā
karbalā par utar rahī thī shaam
maiñ usī vaqt kī kamān meñ thā
thā pare sach ke aur sach koī
ye bhī 'ajmal' hamāre dhyān meñ thā
us ka manzar to sab guman mein tha
sirf saya hi us makan mein tha
dost mera tha aur na us ka wo
ek ajab shaKHs darmiyan mein tha
sar barahna tha harf-harf mein wo
pa-ba-jaulan har ek nishan mein tha
sabz aur surKH tha badan us ka
aur hansta hua sa jaan mein tha
wo madad ko pukarta kis ko
aaKHiri shaKHs imtihan mein tha
mauj-e-dariya se uTh raha tha dhuan
tishna-lab koi apni shan mein tha
aandhiyan chal rahi thin tiron ki
ek diya tha jo apni aan mein tha
sara manzar lahu lahu tha jab
aasman bhi ajib shan mein tha
hashr barpa tha mere sine mein
shor sa ek meri jaan mein tha
karbala par utar rahi thi sham
main usi waqt ki kaman mein tha
tha pare sach ke aur sach koi
ye bhi 'ajmal' hamare dhyan mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.