us ka mizaj-e-barham jo bani-e-jafa hai
us kā mizāj-e-barham jo bānī-e-jafā hai
kaTne ko hai koī sar phir yaar lab-kushā hai
chhup-chhup ke jhāñkte ho chilman kī aaḌ le kar
jo bolte nahīñ tum vo sab mujhe patā hai
phir yaad aa rahī hai un kī bichhaḌ ga.e jo
chheḌo na aaj mujh ko dil kuchh bujhā bujhā hai
kyā pūchhte ho un kī ġhamza-tarāziyoñ kā
is dil kā imtihāñ hai jo bhī na.ī adā hai
ik mohr-e-ḳhāmushī hai hoñToñ pe jo lagī hai
qadmoñ kī āhaToñ ko dil gosh-bar-sadā hai
be-lutf ho ga.ī hai ab zindagī hamārī
lagtā hai bas yahī ab dil ziist se ḳhafā hai
kahtā hai dard-e-dil ko nā-qābil-e-mudāvā
pūchho use zarā vo kis marz kī davā hai
kyoñ baar baar mujh se vo pūchhte haiñ yaaro
hālāñki jānte haiñ jo nafs-e-mudda'ā hai
kunj-e-qafas meñ yaaro rahne do aaj mujh ko
siina darīda meñ phir dard aaj kuchh sivā hai
yādeñ nahīñ rulātīñ ayyām-e-rafta kī ab
thā jo charāġh-e-ḳhasta ik taaq par rakhā hai
āġhosh-e-‘ishq meñ hī 'sālik' tirī baqā hai
ġhunche kī muskurāhaT us ke liye fanā hai
us ka mizaj-e-barham jo bani-e-jafa hai
kaTne ko hai koi sar phir yar lab-kusha hai
chhup-chhup ke jhankte ho chilman ki aaD le kar
jo bolte nahin tum wo sab mujhe pata hai
phir yaad aa rahi hai un ki bichhaD gae jo
chheDo na aaj mujh ko dil kuchh bujha bujha hai
kya puchhte ho un ki ghamza-taraaziyon ka
is dil ka imtihan hai jo bhi nai ada hai
ek mohr-e-KHamushi hai honTon pe jo lagi hai
qadmon ki aahaTon ko dil gosh-bar-sada hai
be-lutf ho gai hai ab zindagi hamari
lagta hai bas yahi ab dil zist se KHafa hai
kahta hai dard-e-dil ko na-qabil-e-mudawa
puchho use zara wo kis marz ki dawa hai
kyon bar bar mujh se wo puchhte hain yaro
haalanki jaante hain jo nafs-e-mudda'a hai
kunj-e-qafas mein yaro rahne do aaj mujh ko
sina darida mein phir dard aaj kuchh siwa hai
yaaden nahin rulatin ayyam-e-rafta ki ab
tha jo charagh-e-KHasta ek taq par rakha hai
aaghosh-e-‘ishq mein hi 'salik' teri baqa hai
ghunche ki muskurahaT us ke liye fana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.