Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us ka raja main wo mere dil ki rani ho gai

Shahrukh Sahil Tulsipuri

us ka raja main wo mere dil ki rani ho gai

Shahrukh Sahil Tulsipuri

MORE BYShahrukh Sahil Tulsipuri

    us raaja maiñ vo mere dil raanī ho ga.ī

    yuuñ mukammal 'ishq mere kahānī ho ga.ī

    aisā bikhrā har taraf tere hasīñ chehre nuur

    mahv-e-hairat chāñdnī zau-fishānī ho ga.ī

    kaalī zulfeñ niilī āñkheñ chāñd chehra tirā

    tujh se mil kar dil ko hāsil shādmānī ho ga.ī

    chaal us mornī sang-e-marmar badan

    us ne jab añgḌā.iyāñ liiñ rut suhānī ho ga.ī

    dekhte us ko maiñ dīvāna us ban gayā

    dekhte dekhte vo bhī divānī ho ga.ī

    raas aa.ī nahīñ mujh ko mirī dīvāngī

    'ishq meñ barbād saarī zindagānī ho ga.ī

    hijr ke mausam meñ jab us ḳhayāl aane lagā

    shām-e-furqat merī 'sāhil' zā'frānī ho ga.ī

    us ka raja main wo mere dil ki rani ho gai

    yun mukammal 'ishq ki mere kahani ho gai

    aisa bikhra har taraf tere hasin chehre ka nur

    mahw-e-hairat chandni ki zau-fishani ho gai

    kali zulfen nili aankhen chand sa chehra tera

    tujh se mil kar dil ko hasil shadmani ho gai

    chaal us ki morni si sang-e-marmar sa badan

    us ne jab angDaiyan lin rut suhani ho gai

    dekhte hi us ko main diwana us ka ban gaya

    dekhte hi dekhte wo bhi diwani ho gai

    ras aai hi nahin mujh ko meri diwangi

    'ishq mein barbaad sari zindagani ho gai

    hijr ke mausam mein jab us ka KHayal aane laga

    sham-e-furqat meri 'sahil' za'frani ho gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now