us ka shayad yahi kaam tha is liye humne karne diya
us kā shāyad yahī kaam thā is liye ham ne karne diyā
us ko tohmat se rokā nahīñ ḳhud par ilzām dharne diyā
bebasī is qadar baḌh ga.ī ek mulhid ko jhuknā paḌā
aur taqdīr kā faisla rabb-e-‘ālam ko karne diyā
ghar kī chhat par bikherā gayā bājrā zahr-ālūd thā
maiñ ne is baar chup saadh lī aur parindoñ ko marne diyā
aao bachcho kahānī suno chūhe godām meñ aa ga.e
pahre-dār aisī mastī meñ the un ko ġhalla kutarne diyā
ik dihātan kī dariyā-dilī mujh ko sairāb karne lagī
us ne apne ghaḌe phoḌ kar mujh ko mashkīza bharne diyā
jo nahīñ Dar rahe the unheñ qatl kar dene kā hukm thā
maaoñ ne buzdilī chhoḌ dī apne beToñ ko Darne diyā
us ka shayad yahi kaam tha is liye hum ne karne diya
us ko tohmat se roka nahin KHud par ilzam dharne diya
bebasi is qadar baDh gai ek mulhid ko jhukna paDa
aur taqdir ka faisla rabb-e-‘alam ko karne diya
ghar ki chhat par bikhera gaya bajra zahr-alud tha
main ne is bar chup sadh li aur parindon ko marne diya
aao bachcho kahani suno chuhe godam mein aa gae
pahre-dar aisi masti mein the un ko ghalla kutarne diya
ek dihatan ki dariya-dili mujh ko sairab karne lagi
us ne apne ghaDe phoD kar mujh ko mashkiza bharne diya
jo nahin Dar rahe the unhen qatl kar dene ka hukm tha
maon ne buzdili chhoD di apne beTon ko Darne diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.