uske aage haal dil ka an-kaha rah jaega
uske aage haal dil ka an-kaha rah jaega
Syed Mateenur Rahman Mateen
MORE BYSyed Mateenur Rahman Mateen
us ke aage haal dil kā an-kahā rah jā.egā
qurbatoñ ke darmiyāñ bhī fāsla rah jā.egā
rut zarā badlī to uḌ jā.eñgī sab murġhābiyāñ
tū akelā sabza-zāroñ meñ khaḌā rah jā.egā
vo guzar jā.egā jhoñke kī tarah dahlīz se
aur shahr-e-dil meñ āshob-e-havā rah jā.egā
tū na kar pā.egā us ko rokne kā hausla
bhīgī āñkhoñ se use bas dekhtā rah jā.egā
ek din hālāt us ko duur kar deñge 'matīn'
tere is suune makāñ meñ ratjagā rah jā.egā
us ke aage haal dil ka an-kaha rah jaega
qurbaton ke darmiyan bhi fasla rah jaega
rut zara badli to uD jaengi sab murghabiyan
tu akela sabza-zaron mein khaDa rah jaega
wo guzar jaega jhonke ki tarah dahliz se
aur shahr-e-dil mein aashob-e-hawa rah jaega
tu na kar paega us ko rokne ka hausla
bhigi aankhon se use bas dekhta rah jaega
ek din haalat us ko dur kar denge 'matin'
tere is sune makan mein ratjaga rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.