uske aane ki KHabar chupke se lati hai hawa
us ke aane kī ḳhabar chupke se laatī hai havā
raat meñ sub.h kī mānind jagātī hai havā
naġhmagī saaz meñ sāñsoñ ke utar jaatī hai
dil ke sahrāoñ meñ jab jhūmtī-gātī hai havā
abr kuchh der baras ke jo chalā jaatā hai
der tak peḌ kī shāḳhoñ ko rulātī hai havā
jab se ik phuul se chehre ne nazar pherī hai
aisā lagtā hai ki is shahr se jaatī hai havā
ret par yuuñ haiñ bagūloñ kī qatāreñ 'mīnā'
aaj bhī naqsh-e-qadam us ke miTātī hai havā
us ke aane ki KHabar chupke se lati hai hawa
raat mein subh ki manind jagati hai hawa
naghmagi saz mein sanson ke utar jati hai
dil ke sahraon mein jab jhumti-gati hai hawa
abr kuchh der baras ke jo chala jata hai
der tak peD ki shaKHon ko rulati hai hawa
jab se ek phul se chehre ne nazar pheri hai
aisa lagta hai ki is shahr se jati hai hawa
ret par yun hain bagulon ki qataren 'mina'
aaj bhi naqsh-e-qadam us ke miTati hai hawa
- Book : Kirchiyan Dard Ki (Pg. 112)
- Author : Dr. Meena Naqvi
- Publication : Aiwan-e-Adab Publishers, Delhi-6 (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.