uske chehre sa rang-o-ab kahan
us ke chehre sā rang-o-āb kahāñ
itne paanī meñ āftāb kahāñ
ishq meñ tere kāmyāb kahāñ
koī merī tarah ḳharāb kahāñ
log badle haiñ dil nahīñ badle
dil na badleñ to inqalāb kahāñ
aap kā hukm hai to bismillāh
nār-e-dozaḳh mujhe azaab kahāñ
bāhamī rabt ain fitrat hai
varna kāñTe kahāñ gulāb kahāñ
kyoñ Darāte ho nār-e-dozaḳh se
zindagī se burā azaab kahāñ
ḳhāmushī iḳhtiyār kar 'zebā'
is se behtar koī javāb kahāñ
us ke chehre sa rang-o-ab kahan
itne pani mein aaftab kahan
ishq mein tere kaamyab kahan
koi meri tarah KHarab kahan
log badle hain dil nahin badle
dil na badlen to inqalab kahan
aap ka hukm hai to bismillah
nar-e-dozaKH mujhe azab kahan
bahami rabt ain fitrat hai
warna kanTe kahan gulab kahan
kyon Daraate ho nar-e-dozaKH se
zindagi se bura azab kahan
KHamushi iKHtiyar kar 'zeba'
is se behtar koi jawab kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.