uske dil mein ye kya samai baat
us ke dil meñ ye kyā samā.ī baat
ġhair se merī jā lagā.ī baat
us ko kis ne ye jā sunā.ī baat
ġhair ke haath kaise aa.ī baat
kuchh kahā us ne jab to phuul jhaḌe
vaah kyā ruḳh pe rang laa.ī baat
ye burī baat hai bachā ḳhud ko
chhup ke suntā hai kyoñ parā.ī baat
us se kyā kahnā chāhtā thā maiñ
bhuul kar bhī na yaad aa.ī baat
kyoñ huā mujh pe mehrbāñ itnā
kaun sī us ko merī bhaa.ī baat
maiñ hamesha rahā huuñ mohar-ba-lab
maiñ ne kab kī hai jag-hañsā.ī baat
kar diyā raaz ḳhud hī tasht-az-bām
kyoñ zabāñ par ye terī aa.ī baat
ab ta.assuf fuzūl hai 'ḳhāvar'
tū ne ḳhud hī kahāñ chhupā.ī baat
us ke dil mein ye kya samai baat
ghair se meri ja lagai baat
us ko kis ne ye ja sunai baat
ghair ke hath kaise aai baat
kuchh kaha us ne jab to phul jhaDe
wah kya ruKH pe rang lai baat
ye buri baat hai bacha KHud ko
chhup ke sunta hai kyon parai baat
us se kya kahna chahta tha main
bhul kar bhi na yaad aai baat
kyon hua mujh pe mehrban itna
kaun si us ko meri bhai baat
main hamesha raha hun mohar-ba-lab
main ne kab ki hai jag-hansai baat
kar diya raaz KHud hi tasht-az-baam
kyon zaban par ye teri aai baat
ab tassuf fuzul hai 'KHawar'
tu ne KHud hi kahan chhupai baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.