uske dil par asar nahin hota
us ke dil par asar nahīñ hotā
be-ḳhabar bā-ḳhabar nahīñ hotā
ishq hī jin kā dīn-o-maz.hab ho
maut kā un ko Dar nahīñ hotā
pyaar kartā na maiñ agar tujh se
is tarah dar-ba-dar nahīñ hotā
jaane kyoñ ḳhushk ho ga.iiñ āñkheñ
ab to dāman bhī tar nahīñ hotā
dil kī vīrān ho ga.ī bastī
us kā jab se guzar nahīñ hotā
ai mire ham-safar kahāñ hai tū
mujh se tanhā safar nahīñ hotā
hausle dil ke hoñ buland agar
rāsta pur-ḳhatar nahīñ hotā
us ke dil par asar nahin hota
be-KHabar ba-KHabar nahin hota
ishq hi jin ka din-o-mazhab ho
maut ka un ko Dar nahin hota
pyar karta na main agar tujh se
is tarah dar-ba-dar nahin hota
jaane kyon KHushk ho gain aankhen
ab to daman bhi tar nahin hota
dil ki viran ho gai basti
us ka jab se guzar nahin hota
ai mere ham-safar kahan hai tu
mujh se tanha safar nahin hota
hausle dil ke hon buland agar
rasta pur-KHatar nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.