uske dil tak nahin pahuncha koi rasta sidha
us ke dil tak nahīñ pahuñchā koī rasta sīdhā
is liye kahne lagā ishq ko ulTā-sīdhā
jis tarah se vo batāte haiñ tujhe uzr apne
is kā matlab to taġhāful hī hai sīdhā sīdhā
ham agar tujh meñ samā jaa.eñ to hairat kaisī
aa ke girtā hai samandar meñ hī dariyā sīdhā
ham ne us naam kī hurmat ko bachā.e rakkhā
log karte rahe jis naam pe paisā sīdhā
kyoñ mujhe biich meñ khīñchā gayā ma.alūm nahīñ
merā ḳhud se to nahīñ thā koī jhagḌā sīdhā
is zamāne kī mohabbat ke usūloñ pe chaleñ
is zamāne meñ bhalā kaun hai itnā sīdhā
kis ke kirdār ke azmat kī duhā.ī maiñ duuñ
nek laḌkī hai koī aur na laḌkā sīdhā
maiñ agar bhaag bhī niklūñ to bhaTak jā.ūñgā
shahr-e-qātil meñ nahīñ ek bhī rastā sīdhā
bahr-o-bar meñ vahī gum-gashta huā hai 'harshit'
ishq kī raah ko jis jis ne bhī samjhā sīdhā
us ke dil tak nahin pahuncha koi rasta sidha
is liye kahne laga ishq ko ulTa-sidha
jis tarah se wo batate hain tujhe uzr apne
is ka matlab to taghaful hi hai sidha sidha
hum agar tujh mein sama jaen to hairat kaisi
aa ke girta hai samandar mein hi dariya sidha
hum ne us nam ki hurmat ko bachae rakkha
log karte rahe jis nam pe paisa sidha
kyon mujhe bich mein khincha gaya malum nahin
mera KHud se to nahin tha koi jhagDa sidha
is zamane ki mohabbat ke usulon pe chalen
is zamane mein bhala kaun hai itna sidha
kis ke kirdar ke azmat ki duhai main dun
nek laDki hai koi aur na laDka sidha
main agar bhag bhi niklun to bhaTak jaunga
shahr-e-qatil mein nahin ek bhi rasta sidha
bahr-o-bar mein wahi gum-gashta hua hai 'harshit'
ishq ki rah ko jis jis ne bhi samjha sidha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.