uske ehsas ke jazbon ki kahani hun main
us ke ehsās ke jazboñ kī kahānī huuñ maiñ
us ke ash.ār kī ġhazloñ kī javānī huuñ maiñ
merī sāñsoñ meñ mahaktā huā sañgīt hai vo
us kī nas nas meñ tarannum kī ravānī huuñ maiñ
vo to saaya thā ḳhudā jaane kahāñ chhūT gayā
DhūñDhtī phirtī huuñ us ko ki divānī huuñ maiñ
vo hai jaise kisī bīmār ke hoñToñ pe duā
pyāsī āñkhoñ pe barastā huā paanī huuñ maiñ
ghūmte phirte the 'nasrīn' jahāñ ham ik saath
jhiil ke paas kī vo shaam suhānī huuñ maiñ
us ke ehsas ke jazbon ki kahani hun main
us ke ashaar ki ghazlon ki jawani hun main
meri sanson mein mahakta hua sangit hai wo
us ki nas nas mein tarannum ki rawani hun main
wo to saya tha KHuda jaane kahan chhuT gaya
DhunDhti phirti hun us ko ki diwani hun main
wo hai jaise kisi bimar ke honTon pe dua
pyasi aankhon pe barasta hua pani hun main
ghumte phirte the 'nasrin' jahan hum ek sath
jhil ke pas ki wo sham suhani hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.