uske gham mein hayat bhul gae
us ke ġham meñ hayāt bhuul ga.e
raunaq-e-kā.enāt bhuul ga.e
ek muddat meñ to mile us se
phir bhī kahne kī baat bhuul ga.e
ik hasīñ vārdāt ke aage
ziist ke hādsāt bhuul ga.e
ishq meñ log ham se kyā badle
vo bhī to iltifāt bhuul ga.e
kitne be-ḳhud haiñ us ke ġham ke sivā
talḳhī-e-vāqi.āt bhuul ga.e
aish-o-ishrat meñ kho ga.e itnā
hastī-e-be-sabāt bhuul ga.e
us se mil kar the is qadar ḳhush ham
ki har ik ġham kī raat bhuul ga.e
māl-o-zar haath kyā lagā un ke
log apnī bhī zaat bhuul ga.e
zehn par itnā chhā ga.e vo 'zafar'
fikr-e-maut-o-hayāt bhuul ga.e
us ke gham mein hayat bhul gae
raunaq-e-kaenat bhul gae
ek muddat mein to mile us se
phir bhi kahne ki baat bhul gae
ek hasin wardat ke aage
zist ke hadsat bhul gae
ishq mein log hum se kya badle
wo bhi to iltifat bhul gae
kitne be-KHud hain us ke gham ke siwa
talKHi-e-waqiat bhul gae
aish-o-ishrat mein kho gae itna
hasti-e-be-sabaat bhul gae
us se mil kar the is qadar KHush hum
ki har ek gham ki raat bhul gae
mal-o-zar hath kya laga un ke
log apni bhi zat bhul gae
zehn par itna chha gae wo 'zafar'
fikr-e-maut-o-hayat bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.