uske hathon ka banaya hua shahkar hun main
us ke hāthoñ kā banāyā huā shahkār huuñ maiñ
aur kuchh log samajhte haiñ ki be-kār huuñ maiñ
merā is husn ke bāzār meñ kuchh mol nahīñ
maiñ banī-ḳhāk huuñ aur ḳhaak kā haqdār huuñ maiñ
mujh ko be-sāḳhta āvāz na de andar se
aarzī lams kī shiddat meñ giraftār huuñ maiñ
vo safar-sāz thā so us kā diyā raushan thā
maiñ junūñ-sāz huuñ aur hāmil-e-raftār huuñ maiñ
terī duniyā se sañbhālā na gayā merā vajūd
aur āḳhir pe jo hotā hai vo inkār huuñ maiñ
dast-basta huuñ kabhī vaqt kī parkār tale
aur kabhī apnī balā se vahī parkār huuñ maiñ
dil lagātā hī gayā shāh-e-najaf kā na.ara
jism kartā rahā isrār ki bīmār huuñ maiñ
mujh ko is daur kī āvāz na samjho 'rāsiḳh'
apne hī dard kā bosīda taraf-dār huuñ maiñ
us ke hathon ka banaya hua shahkar hun main
aur kuchh log samajhte hain ki be-kar hun main
mera is husn ke bazar mein kuchh mol nahin
main bani-KHak hun aur KHak ka haqdar hun main
mujh ko be-saKHta aawaz na de andar se
aarzi lams ki shiddat mein giraftar hun main
wo safar-saz tha so us ka diya raushan tha
main junun-saz hun aur hamil-e-raftar hun main
teri duniya se sanbhaala na gaya mera wajud
aur aaKHir pe jo hota hai wo inkar hun main
dast-basta hun kabhi waqt ki parkar tale
aur kabhi apni bala se wahi parkar hun main
dil lagata hi gaya shah-e-najaf ka nara
jism karta raha israr ki bimar hun main
mujh ko is daur ki aawaz na samjho 'rasiKH'
apne hi dard ka bosida taraf-dar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.