uske hone ki KHabar shahr mein dil ne pai
us ke hone kī ḳhabar shahr meñ dil ne paa.ī
koī saa.at kī bhī fursat nahīñ milne paa.ī
haath pe rakkhūñ tire naqsh ubhar aate haiñ
kyā sifat dekh tū is shahr kī gil ne paa.ī
ishq ne mujh ko jalā Daalā hai sho.ala ban kar
maiñ ridā dard kī sozan se na silne paa.ī
ham ko tanhā.ī ne toḌā kiyā reza reza
zaḳhm-e-dil hijr kī bārish to na jhilne paa.ī
tū faqat aa.ina dīvār pe āvezāñ hai
tujh meñ rangat mire chehre kī na khilne paa.ī
apnī āñkhoñ meñ liye phirte haiñ duniyā vaale
kyā fazīlat mire ruḳhsār ke til ne paa.ī
zalzale aa.e gire laakh shahāb-e-sāqib
par zamīñ markaz-o-mehvar se na hilne paa.ī
us ke hone ki KHabar shahr mein dil ne pai
koi saat ki bhi fursat nahin milne pai
hath pe rakkhun tere naqsh ubhar aate hain
kya sifat dekh tu is shahr ki gil ne pai
ishq ne mujh ko jala Dala hai shoala ban kar
main rida dard ki sozan se na silne pai
hum ko tanhai ne toDa kiya reza reza
zaKHm-e-dil hijr ki barish to na jhilne pai
tu faqat aaina diwar pe aawezan hai
tujh mein rangat mere chehre ki na khilne pai
apni aankhon mein liye phirte hain duniya wale
kya fazilat mere ruKHsar ke til ne pai
zalzale aae gire lakh shahab-e-saqib
par zamin markaz-o-mehwar se na hilne pai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.