uske honTon pe ba-andaz-e-ghazal jaunga
us ke hoñToñ pe ba-andāz-e-ġhazal jā.ūñgā
lafz huuñ is liye āvāz meñ Dhal jā.ūñgā
kyā ġhazab aag dahaktī hai tire siine meñ
tujh se maiñ baat bhī kar lūñgā to jal jā.ūñgā
jis tarah dauḌ rahā huuñ mujhe ab lagtā hai
apnī manzil se bahut duur nikal jā.ūñgā
isī bikhrāo meñ maiñ huuñ mujhe tartīb na de
is tarah bāñdh ke rakhne se badal jā.ūñgā
ab ke sāvan meñ tirī yaad barastī hai yahāñ
is qadar tez barastī hai ki gal jā.ūñgā
aaj bhī sochte rahne meñ guzārā maiñ ne
kal bhī maiñ sochtā rah jā.uñgā kal jā.ūñgā
jaan kar Thokareñ khātā huuñ ki gir jā.ūñ maiñ
ḳhaak se ḳhaak milegī to sañbhal jā.ūñgā
us ke honTon pe ba-andaz-e-ghazal jaunga
lafz hun is liye aawaz mein Dhal jaunga
kya ghazab aag dahakti hai tere sine mein
tujh se main baat bhi kar lunga to jal jaunga
jis tarah dauD raha hun mujhe ab lagta hai
apni manzil se bahut dur nikal jaunga
isi bikhrao mein main hun mujhe tartib na de
is tarah bandh ke rakhne se badal jaunga
ab ke sawan mein teri yaad barasti hai yahan
is qadar tez barasti hai ki gal jaunga
aaj bhi sochte rahne mein guzara main ne
kal bhi main sochta rah jaunga kal jaunga
jaan kar Thokaren khata hun ki gir jaun main
KHak se KHak milegi to sanbhal jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.