uske honTon pe mera nam jo aaya hoga
us ke hoñToñ pe mirā naam jo aayā hogā
sharm se chehre ko hāthoñ se chhupāyā hogā
merī aamad kā ḳhayāl un ko jo aayā hogā
to muñDeroñ pe charāġhoñ ko jalāyā hogā
us kī palkoñ pe larazte hue jugnū hoñge
qissa-e-‘ishq kisī ko jo sunāyā hogā
us ne dekhā jo na hogā sar-e-mahfil mujh ko
apnī namnāk sī palkoñ ko jhukāyā hogā
dastakeñ ḳhvāb meñ darvāza-e-dil par de kar
merī nīñdoñ ko hañsī us ne banāyā hogā
justujū karte hue thak ga.e hoñge 'rizvān'
moḌ aisā bhī rah-e-'ishq meñ aayā hogā
us ke honTon pe mera nam jo aaya hoga
sharm se chehre ko hathon se chhupaya hoga
meri aamad ka KHayal un ko jo aaya hoga
to munDeron pe charaghon ko jalaya hoga
us ki palkon pe larazte hue jugnu honge
qissa-e-‘ishq kisi ko jo sunaya hoga
us ne dekha jo na hoga sar-e-mahfil mujh ko
apni namnak si palkon ko jhukaya hoga
dastaken KHwab mein darwaza-e-dil par de kar
meri nindon ko hansi us ne banaya hoga
justuju karte hue thak gae honge 'rizwan'
moD aisa bhi rah-e-'ishq mein aaya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.