uske insan ko jagana hai
us ke insān ko jagānā hai
ek patthar ko ab rulānā hai
yā kisī ḳhvāb yā kisī dil meñ
aur apnā kahāñ Thikānā hai
hasb-e-ma.amūl maut aa.egī
hasb-e-ma.amūl ham ko jaanā hai
jis ko dil se nikāl pheñkā hai
ab use DhūñDne bhī jaanā hai
ek āvārgī kā qissa hai
dasht ko raat bhar sunānā hai
dekhnā dūr-dūr se us ko
khel achchhā hai par purānā hai
ik hazīñ ḳhvāb do hasīñ āñkheñ
aur kyā zindagī se paanā hai
ab jo dil kī ḳhalā meñ utre haiñ
ek dīvār ko uThānā hai
zindagī ek chhoTī sī rūdād
milte jaanā bichhaḌte jaanā hai
duur se dekhnā hai hasrat ko
fāsla darmiyāñ bichhānā hai
vaqt kā sab kiyā dharā 'mīrā'
ye ḳhizā.eñ to ik bahānā hai
us ke insan ko jagana hai
ek patthar ko ab rulana hai
ya kisi KHwab ya kisi dil mein
aur apna kahan Thikana hai
hasb-e-mamul maut aaegi
hasb-e-mamul hum ko jaana hai
jis ko dil se nikal phenka hai
ab use DhunDne bhi jaana hai
ek aawargi ka qissa hai
dasht ko raat bhar sunana hai
dekhna dur-dur se us ko
khel achchha hai par purana hai
ek hazin KHwab do hasin aankhen
aur kya zindagi se pana hai
ab jo dil ki KHala mein utre hain
ek diwar ko uThana hai
zindagi ek chhoTi si rudad
milte jaana bichhaDte jaana hai
dur se dekhna hai hasrat ko
fasla darmiyan bichhana hai
waqt ka sab kiya dhara 'mira'
ye KHizaen to ek bahana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.