uske jaisa koi mila hi nahin
us ke jaisā koī milā hī nahīñ
kaise miltā kahīñ pe thā hī nahīñ
ghar ke malbe se ghar banā hī nahīñ
zalzale kā asar gayā hī nahīñ
vo jahāñ tak dikhā.ī detā hai
us ke aage maiñ dekhtā hī nahīñ
achchhe-achchhoñ ne rāsta māñgā
maiñ tirī raah se haTā hī nahīñ
saare kirdār ho ga.e ḳhud.dār
phir kahānī meñ kuchh huā hī nahīñ
yaad hai jo usī ko yaad karo
hijr kī dūsrī davā hī nahīñ
tere baare meñ sochne vaalā
apne baare meñ sochtā hī nahīñ
us ke jaisa koi mila hi nahin
kaise milta kahin pe tha hi nahin
ghar ke malbe se ghar bana hi nahin
zalzale ka asar gaya hi nahin
wo jahan tak dikhai deta hai
us ke aage main dekhta hi nahin
achchhe-achchhon ne rasta manga
main teri rah se haTa hi nahin
sare kirdar ho gae KHuddar
phir kahani mein kuchh hua hi nahin
yaad hai jo usi ko yaad karo
hijr ki dusri dawa hi nahin
tere bare mein sochne wala
apne bare mein sochta hi nahin
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 109)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.