uske karam bhi moajize aksar bane rahe
us ke karam bhī mo.ajize aksar bane rahe
qatre bhī dekhiyegā samundar bane rahe
ye jānte the vo kabhī vāpas na aa.egā
phir bhī ham intizār kā paikar bane rahe
apnī ravish se siikh lī dushman ne dostī
ham apne fan ke dekhiye aazar bane rahe
insān ne hī bech diyā maz.hab-e-vafā
insān hī jahāñ meñ payambar bane rahe
ab ke in āñdhiyoñ kā nirālā mizāj thā
jo sirf kāġhazoñ ke the vo ghar bane rahe
pahuñche the us ke paas liye saiñkaḌoñ gile
lekin ham us ke sāmne patthar bane rahe
ham ko to raushnī bhī mayassar na ho sakī
yuuñ to tamām umr hī 'anvar' bane rahe
us ke karam bhi moajize aksar bane rahe
qatre bhi dekhiyega samundar bane rahe
ye jaante the wo kabhi wapas na aaega
phir bhi hum intizar ka paikar bane rahe
apni rawish se sikh li dushman ne dosti
hum apne fan ke dekhiye aazar bane rahe
insan ne hi bech diya mazhab-e-wafa
insan hi jahan mein payambar bane rahe
ab ke in aandhiyon ka nirala mizaj tha
jo sirf kaghazon ke the wo ghar bane rahe
pahunche the us ke pas liye sainkaDon gile
lekin hum us ke samne patthar bane rahe
hum ko to raushni bhi mayassar na ho saki
yun to tamam umr hi 'anwar' bane rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.