uske kuche mein dil ko kho baiThe
us ke kūche meñ dil ko kho baiThe
ziist se nā-umīd ho baiThe
tere dar par faqīr ho baiThe
dīn-o-duniyā se haath dho baiThe
abhī uTTho na dard-e-dil merā
koī dam aur bhī suno baiThe
mujh ko samjhāo mat azīzo ik aan
paas mere use kaho baiThe
uTh ga.ī dil se ārzū-e-bahisht
us ke kūche meñ jā ke jo baiThe
dil ko samjhā.ūñ sau tarah mujh paas
ek dam bhī jo aa ke vo baiThe
juuñ lagā kahne dard-e-dil bolā
baiThnā hai to chup raho baiThe
jab se āshiq huā tū ai 'afsos'
tab se ham to tujhī ko ro baiThe
us ke kuche mein dil ko kho baiThe
zist se na-umid ho baiThe
tere dar par faqir ho baiThe
din-o-duniya se hath dho baiThe
abhi uTTho na dard-e-dil mera
koi dam aur bhi suno baiThe
mujh ko samjhao mat azizo ek aan
pas mere use kaho baiThe
uTh gai dil se aarzu-e-bahisht
us ke kuche mein ja ke jo baiThe
dil ko samjhaun sau tarah mujh pas
ek dam bhi jo aa ke wo baiThe
jun laga kahne dard-e-dil bola
baiThna hai to chup raho baiThe
jab se aashiq hua tu ai 'afsos'
tab se hum to tujhi ko ro baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.