uske kuche se saba gar idhar aa jati hai
us ke kūche se sabā gar idhar aa jaatī hai
dil ke nāloñ kī mufassal ḳhabar aa jaatī hai
garche us zulf se kuchh kaam nahīñ ab to vale
saañp ke kaaTe kī sī ik lahr aa jaatī hai
mere hote hī tumheñ ġhair se thī karnī baat
dil meñ kuchh kuchh phir isī baat par aa jaatī hai
ye ġhazab hai ki vo rūThā huā phirtā hai jo yaañ
ḳhvāb meñ bhī vahī sūrat nazar aa jaatī hai
zikr chheḌe koī ab kyūñki mirā us ke huzūr
vaañ to har baat meñ teġh-o-sipar aa jaatī hai
sūjhtā kuchh nahīñ us vaqt miyāñ apne ta.iiñ
yaad jis vaqt tirī mū kamar aa jaatī hai
kaaT detā hai vo har baat meñ suntā hī nahīñ
baat merī kabhī majlis meñ gar aa jaatī hai
ik vafādārī jo hai āb-o-gil apne meñ 'hasan'
phir tabī.at nahīñ phirtī jidhar aa jaatī hai
us ke kuche se saba gar idhar aa jati hai
dil ke nalon ki mufassal KHabar aa jati hai
garche us zulf se kuchh kaam nahin ab to wale
sanp ke kaTe ki si ek lahr aa jati hai
mere hote hi tumhein ghair se thi karni baat
dil mein kuchh kuchh phir isi baat par aa jati hai
ye ghazab hai ki wo ruTha hua phirta hai jo yan
KHwab mein bhi wahi surat nazar aa jati hai
zikr chheDe koi ab kyunki mera us ke huzur
wan to har baat mein tegh-o-sipar aa jati hai
sujhta kuchh nahin us waqt miyan apne tain
yaad jis waqt teri mu kamar aa jati hai
kaT deta hai wo har baat mein sunta hi nahin
baat meri kabhi majlis mein gar aa jati hai
ek wafadari jo hai aab-o-gil apne mein 'hasan'
phir tabiat nahin phirti jidhar aa jati hai
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.