uske lahje ki chubhan jism mein chaqu ki tarah
us ke lahje kī chubhan jism meñ chāqū kī tarah
aap kahtā hai vo mujh ko bhī magar tū kī tarah
chhoḌ saktā hī nahīñ ḳhaar kī fitrat vo to
laakh kahtā huuñ ki chhū mujh ko bhī ḳhushbū kī tarah
taptā rahtā hai jo sūraj ke mutābiq har dam
saarī duniyā ko samajhtā hai vo jugnū kī tarah
raas aatī hai use merī ye bad-tar hālat
ristā rahtā hai lahū jism se aañsū kī tarah
kaam aatī hai du'ā us kī sunā hai maiñ ne
kaash kartī ye asar mujh pe bhī jaadū kī tarah
koī paḌhtā hī nahīñ mujh ko zabāñ meñ merī
yā'nī hindī kī tarah aur na urdu kī tarah
vo to baazū se nikaltā hai 'nazar' āñdhī sā
us kī sāñsoñ kī tapish garm kisī lū kī tarah
us ke lahje ki chubhan jism mein chaqu ki tarah
aap kahta hai wo mujh ko bhi magar tu ki tarah
chhoD sakta hi nahin KHar ki fitrat wo to
lakh kahta hun ki chhu mujh ko bhi KHushbu ki tarah
tapta rahta hai jo suraj ke mutabiq har dam
sari duniya ko samajhta hai wo jugnu ki tarah
ras aati hai use meri ye bad-tar haalat
rista rahta hai lahu jism se aansu ki tarah
kaam aati hai du'a us ki suna hai main ne
kash karti ye asar mujh pe bhi jadu ki tarah
koi paDhta hi nahin mujh ko zaban mein meri
ya'ni hindi ki tarah aur na urdu ki tarah
wo to bazu se nikalta hai 'nazar' aandhi sa
us ki sanson ki tapish garm kisi lu ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.