uske liye aankhen dar-e-be-KHwab mein rakh dun
us ke liye āñkheñ dar-e-be-ḳhvāb meñ rakh duuñ
phir shab ko jalā kar unheñ mehrāb meñ rakh duuñ
sūrat hai yahī ab to guzarnā hai yūñhī vaqt
jis baat ko dil chāhe use ḳhvāb meñ rakh duuñ
phirte haiñ sadā jis meñ samundar bhī zamīñ bhī
ye puurā falak bhī usī girdāb meñ rakh duuñ
ye saare sitāre kisī dariyā meñ bahā duuñ
bas chāñd pakaḌ kar kisī tālāb meñ rakh duuñ
kapḌe jo mujhe tang hoñ pahnā duuñ ḳhalā ko
aur ḳhvāb purāne kahīñ mahtāb meñ rakh duuñ
itnā bhī na āsāñ ho yahāñ pyaas bujhānā
bahtā huā dhoka sā kahīñ aab meñ rakh duuñ
sab kuchh hī gañvā dene se behtar hai ki 'shāhīñ'
ḳhāshāk-e-dil-o-jāñ rah-e-sailāb meñ rakh duuñ
us ke liye aankhen dar-e-be-KHwab mein rakh dun
phir shab ko jala kar unhen mehrab mein rakh dun
surat hai yahi ab to guzarna hai yunhi waqt
jis baat ko dil chahe use KHwab mein rakh dun
phirte hain sada jis mein samundar bhi zamin bhi
ye pura falak bhi usi girdab mein rakh dun
ye sare sitare kisi dariya mein baha dun
bas chand pakaD kar kisi talab mein rakh dun
kapDe jo mujhe tang hon pahna dun KHala ko
aur KHwab purane kahin mahtab mein rakh dun
itna bhi na aasan ho yahan pyas bujhana
bahta hua dhoka sa kahin aab mein rakh dun
sab kuchh hi ganwa dene se behtar hai ki 'shahin'
KHashak-e-dil-o-jaan rah-e-sailab mein rakh dun
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 215)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.