uske siwa har ek ki mushkil mein jaan hai
us ke sivā har ek kī mushkil meñ jaan hai
dar-asl sirf bāzū-e-qātil meñ jaan hai
ik sach bhī gar zabān se nikle to log-bāg
chillā ke dauḌ paḌte haiñ bismil meñ jaan hai
is ḳhud-aziyyatī ko mohabbat kahegā kaun
achchhā huuñ merī jaan ki mushkil meñ jaan hai
is ik sadā kī guuñj rahegī galī-galī
zinda rahegā shahr ki saa.il meñ jaan hai
zaḳhmī shikār jaan bachā kar nikal gayā
yā'nī shikāriyoñ kī bhī mushkil meñ jaan hai
samjhā ke haar haar gayā jal-parī ko maiñ
ab bhī samajh rahī hai ki sāhil meñ jaan hai
us ke siwa har ek ki mushkil mein jaan hai
dar-asl sirf bazu-e-qatil mein jaan hai
ek sach bhi gar zaban se nikle to log-bag
chilla ke dauD paDte hain bismil mein jaan hai
is KHud-aziyyati ko mohabbat kahega kaun
achchha hun meri jaan ki mushkil mein jaan hai
is ek sada ki gunj rahegi gali-gali
zinda rahega shahr ki sail mein jaan hai
zaKHmi shikar jaan bacha kar nikal gaya
ya'ni shikariyon ki bhi mushkil mein jaan hai
samjha ke haar haar gaya jal-pari ko main
ab bhi samajh rahi hai ki sahil mein jaan hai
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 125)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.