uske tewar jo nazar aae bigaDne wale
us ke tevar jo nazar aa.e bigaḌne vaale
ho ga.e zer zamāne ke akaḌne vaale
na to ghar kā hai pata kuchh na ḳhabar apnī hai
aise hote haiñ mohabbat meñ ujaḌne vaale
tū bhī uḌ jā.egā sūkhe hue patte kī tarah
titliyāñ bhaag ke hāthoñ meñ pakaḌne vaale
kis tarah ek hī jhoñke se bujhā ghar kā charāġh
tum to Thahre the havāoñ se bhī laḌne vaale
kab mire paañv meñ zanjīr-e-vafā Dālegā
mere shānoñ ko mohabbat se jakaḌne vaale
DhūñDhtā huuñ maiñ tujhe aaj har ik mele meñ
mujh se kal bhiiḌ meñ ai dost bichhaḌne vaale
āshiyāne kī ijāzat to bajā hai lekin
peḌ 'nāsir' mujhe lagte haiñ ukhaḌne vaale
us ke tewar jo nazar aae bigaDne wale
ho gae zer zamane ke akaDne wale
na to ghar ka hai pata kuchh na KHabar apni hai
aise hote hain mohabbat mein ujaDne wale
tu bhi uD jaega sukhe hue patte ki tarah
titliyan bhag ke hathon mein pakaDne wale
kis tarah ek hi jhonke se bujha ghar ka charagh
tum to Thahre the hawaon se bhi laDne wale
kab mere panw mein zanjir-e-wafa Dalega
mere shanon ko mohabbat se jakaDne wale
DhunDhta hun main tujhe aaj har ek mele mein
mujh se kal bhiD mein ai dost bichhaDne wale
aashiyane ki ijazat to baja hai lekin
peD 'nasir' mujhe lagte hain ukhaDne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.