uske wade pe etibar na tha
us ke vā'de pe e'tibār na thā
is liye dil bhī be-qarār na thā
mushkileñ thiiñ safar meñ pahle bhī
rāsta itnā ḳhār-dār na thā
log shāmil the saare ḳhushiyoñ meñ
koī duniyā meñ ġham-gusār na thā
ahl-e-gulshan ko apnī hālat par
aah bharne kā iḳhtiyār na thā
aur bhī husn thā zamāne meñ
kuchh tumhīñ par to inhisār na thā
dekhtā thā vo 'aib duniyā ke
jo ḳhatāoñ pe sharmsār na thā
us kī chāhat meñ kho diyā sab kuchh
'ishq jazba thā kārobār na thā
maiñ khaḌā thā usī jagah pe 'kashish'
haañ magar us kā intizār na thā
us ke wa'de pe e'tibar na tha
is liye dil bhi be-qarar na tha
mushkilen thin safar mein pahle bhi
rasta itna KHar-dar na tha
log shamil the sare KHushiyon mein
koi duniya mein gham-gusar na tha
ahl-e-gulshan ko apni haalat par
aah bharne ka iKHtiyar na tha
aur bhi husn tha zamane mein
kuchh tumhin par to inhisar na tha
dekhta tha wo 'aib duniya ke
jo KHataon pe sharmsar na tha
us ki chahat mein kho diya sab kuchh
'ishq jazba tha karobar na tha
main khaDa tha usi jagah pe 'kashish'
han magar us ka intizar na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.