uski aamad ke liye KHud ko tarasta dekhna
us kī aamad ke liye ḳhud ko tarastā dekhnā
haa.e hasrat se tirā parde ko hiltā dekhnā
roz terī khoj meñ phirnā mirā yuuñ dar-ba-dar
roz apne saa.e ko bāhar bhaTaktā dekhnā
hai badal jaatā ye lahja roz merī aañkh kā
aañkh kā dariyā vo chaḌhtā aur utartā dekhnā
Dheh na jaa.e ghar tirā jānāñ zarā rakhnā ḳhayāl
merī āñkhoñ se mirā sāvan barastā dekhnā
'gul' kā to ye dil kahāñ rah pā.egā ab tere bin
dil mirā ḳhud ke liye phir se machaltā dekhnā
us ki aamad ke liye KHud ko tarasta dekhna
hae hasrat se tera parde ko hilta dekhna
roz teri khoj mein phirna mera yun dar-ba-dar
roz apne sae ko bahar bhaTakta dekhna
hai badal jata ye lahja roz meri aankh ka
aankh ka dariya wo chaDhta aur utarta dekhna
Dheh na jae ghar tera jaanan zara rakhna KHayal
meri aankhon se mera sawan barasta dekhna
'gul' ka to ye dil kahan rah paega ab tere bin
dil mera KHud ke liye phir se machalta dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.