uski aamad mujhe KHushiyon ka pata deti hai
us kī aamad mujhe ḳhushiyoñ kā pata detī hai
ik nazar us kī mirā ranj bhulā detī hai
zindagī roz 'atā kartī hai ik zaḳhm nayā
saañs lene kī mujhe ḳhuub sazā detī hai
bebasī merī uḌātī hai mirā ḳhuub mazāq
bhuuk kam-zarf ke aage bhī jhukā detī hai
lauT jaatī huuñ maiñ phir andhī Dagar kī jānib
yaad terī mujhe ḳhāmosh sadā detī hai
jiine detī hī nahīñ talḳh haqīqat mujh ko
mere ḳhvāboñ kī ye zanjīr hilā detī hai
kār-e-duniyā se nahīñ hotā hai ehsās-e-thakan
be-ruḳhī apnoñ kī insāñ ko thakā detī hai
Dūbtī kashtī ko miltā hai kināra phir se
koī ummīd nayā muzhda sunā detī hai
raah meñ laakh bichhā.e koī kāñTe us ke
dil se dushman ko bhī 'farzāna' du'ā detī hai
us ki aamad mujhe KHushiyon ka pata deti hai
ek nazar us ki mera ranj bhula deti hai
zindagi roz 'ata karti hai ek zaKHm naya
sans lene ki mujhe KHub saza deti hai
bebasi meri uDati hai mera KHub mazaq
bhuk kam-zarf ke aage bhi jhuka deti hai
lauT jati hun main phir andhi Dagar ki jaanib
yaad teri mujhe KHamosh sada deti hai
jine deti hi nahin talKH haqiqat mujh ko
mere KHwabon ki ye zanjir hila deti hai
kar-e-duniya se nahin hota hai ehsas-e-thakan
be-ruKHi apnon ki insan ko thaka deti hai
Dubti kashti ko milta hai kinara phir se
koi ummid naya muzhda suna deti hai
rah mein lakh bichhae koi kanTe us ke
dil se dushman ko bhi 'farzana' du'a deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.