uski aankhen hare samundar uski baaten barf
us kī āñkheñ hare samundar us kī bāteñ barf
phir bhī naqsh huā hai dil par us kā ik ik harf
koī bhare kāñToñ se dāman koī phuul chune
apnā apnā dāman sab kā apnā apnā zarf
us kī chaah meñ rāñjhā ban kar belā belā ghūme
dhuup ke is sahrā meñ apnī umr huī hai sarf
ik duuje ko dekh na paa.e barsoñ biit ga.e
āñkhoñ kī putlī meñ kho kar rah ga.e kitne harf
sūkhe dariyāoñ kī sūrat qatra qatra tarseñ
jaane kab chamkegā sūraj kab pighlegī barf
us ki aankhen hare samundar us ki baaten barf
phir bhi naqsh hua hai dil par us ka ek ek harf
koi bhare kanTon se daman koi phul chune
apna apna daman sab ka apna apna zarf
us ki chah mein ranjha ban kar bela bela ghume
dhup ke is sahra mein apni umr hui hai sarf
ek duje ko dekh na pae barson bit gae
aankhon ki putli mein kho kar rah gae kitne harf
sukhe dariyaon ki surat qatra qatra tarsen
jaane kab chamkega suraj kab pighlegi barf
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 162)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.