uski aankhon mein koi KHwab nahin
us kī āñkhoñ meñ koī ḳhvāb nahīñ
kyā piyāle meñ hī sharāb nahīñ
phuul to aur bhī haiñ lekin dost
us ke jaisā koī gulāb nahīñ
haal sūkhe daraḳht se pūchho
apnā saayā bhī dastiyāb nahīñ
pahle bose meñ ishq phīkā lagā
āḳhirī kā koī javāb nahīñ
hijr kī aag se bachā na koī
ashk hī ashk hai bas aab nahīñ
vasl ke din gine haiñ uñglī par
hijr kā koī bhī hisāb nahīñ
tū nahīñ yaad bhī nahīñ terī
dasht-e-dil meñ koī sarāb nahīñ
dekh jis ko ho jaate the pāgal
sāmne hai ab iztirāb nahīñ
hai adab jānñā tabī.at bhī
haal pūchhā hai bāzyāb nahīñ
us ki aankhon mein koi KHwab nahin
kya piyale mein hi sharab nahin
phul to aur bhi hain lekin dost
us ke jaisa koi gulab nahin
haal sukhe daraKHt se puchho
apna saya bhi dastiyab nahin
pahle bose mein ishq phika laga
aaKHiri ka koi jawab nahin
hijr ki aag se bacha na koi
ashk hi ashk hai bas aab nahin
wasl ke din gine hain ungli par
hijr ka koi bhi hisab nahin
tu nahin yaad bhi nahin teri
dasht-e-dil mein koi sarab nahin
dekh jis ko ho jate the pagal
samne hai ab iztirab nahin
hai adab jaanna tabiat bhi
haal puchha hai bazyab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.