uski aankhon ne sar-e-bazm Thaharne na diya
uski aankhon ne sar-e-bazm Thaharne na diya
Syed Gulam Mohammad Mast Kalkattvi
MORE BYSyed Gulam Mohammad Mast Kalkattvi
us kī āñkhoñ ne sar-e-bazm Thaharne na diyā
sabr mazlūm ko zālim kī nazar ne na diyā
aañkh bhar kar unheñ ham dekh hī lete dam bhar
itnā mauqa.a hī kabhī dīda-e-tar ne na diyā
shikva-e-va.ada-ḳhilāfī pe vo jhallā.e magar
muskurāhaT ke tasadduq ki mukarne na diyā
jab vo aa.e sar-e-mahfil to sañvarne aa.e
un ko shoḳhī ne kabhī ghar meñ sañvarne na diyā
apnī barbād javānī kī hai rūdād itnī
ġham ne hañsne na diyā ishq ne marne na diyā
'mast' kyā us kī mohabbat meñ tirā dil Thahrā
apnī nazroñ ko kabhī jis ne Thaharne na diyā
us ki aankhon ne sar-e-bazm Thaharne na diya
sabr mazlum ko zalim ki nazar ne na diya
aankh bhar kar unhen hum dekh hi lete dam bhar
itna mauqa hi kabhi dida-e-tar ne na diya
shikwa-e-wada-KHilafi pe wo jhallae magar
muskurahaT ke tasadduq ki mukarne na diya
jab wo aae sar-e-mahfil to sanwarne aae
un ko shoKHi ne kabhi ghar mein sanwarne na diya
apni barbaad jawani ki hai rudad itni
gham ne hansne na diya ishq ne marne na diya
'mast' kya us ki mohabbat mein tera dil Thahra
apni nazron ko kabhi jis ne Thaharne na diya
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 215)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.