uski aankhon se ayan hai uski niyyat saf-saf
uski aankhon se ayan hai uski niyyat saf-saf
Tahir Saood Kiratpuri
MORE BYTahir Saood Kiratpuri
us kī āñkhoñ se 'ayāñ hai us kī niyyat sāf-sāf
yā'nī az-ḳhud tarjuma go hai mohabbat sāf-sāf
aise aañsū us ke qadmoñ meñ chaḌhātā huuñ maiñ roz
masjidoñ meñ jaise dī jaatī hai daulat sāf-sāf
maiñ ne yuuñ likh dī haiñ āñkheñ ek nā-bīnā ke naam
merī āñkheñ dekh saktī haiñ haqīqat sāf-sāf
duudh kī hājat hai aur maañ so chukī hai mustaqil
āñsuoñ ko aa paḌī piine kī naubat sāf-sāf
phuul se chehroñ ke dil muTThī meñ qaabū kar liye
aañkh hai to dekh urdu kī karāmat sāf-sāf
ham unheñ bhī maan dene se nahīñ karte gurez
ham se aksar khelte haiñ jo siyāsat sāf-sāf
kab azaañ paḌhte haiñ kab takbīr kuchh mā'lūm hai
so kahīñ bhī baiTh kar kuchh bhī kaho mat sāf-sāf
us ki aankhon se 'ayan hai us ki niyyat saf-saf
ya'ni az-KHud tarjuma go hai mohabbat saf-saf
aise aansu us ke qadmon mein chaDhata hun main roz
masjidon mein jaise di jati hai daulat saf-saf
main ne yun likh di hain aankhen ek na-bina ke nam
meri aankhen dekh sakti hain haqiqat saf-saf
dudh ki hajat hai aur man so chuki hai mustaqil
aansuon ko aa paDi pine ki naubat saf-saf
phul se chehron ke dil muTThi mein qabu kar liye
aankh hai to dekh urdu ki karamat saf-saf
hum unhen bhi man dene se nahin karte gurez
hum se aksar khelte hain jo siyasat saf-saf
kab azan paDhte hain kab takbir kuchh ma'lum hai
so kahin bhi baiTh kar kuchh bhi kaho mat saf-saf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.