uski banhon mein simaTne ka jo chaara mil gaya
uski banhon mein simaTne ka jo chaara mil gaya
Shahrukh Sahil Tulsipuri
MORE BYShahrukh Sahil Tulsipuri
us kī bāñhoñ meñ simaTne kā jo chāra mil gayā
yuuñ lagā jiine kā ham ko lutf saarā mil gayā
hausla jaagā to maujoñ meñ kinārā mil gayā
Dūbne vāloñ ko tinke kā sahārā mil gayā
rakh deñ qadmoñ meñ tire duniyā kī sab rangīniyāñ
surma.ī āñkhoñ kā terī jab ishāra mil gayā
kar rakhe haiñ apne jalvoñ se munavvar bastiyāñ
husn kā jis jis ko bhī tere utārā mil gayā
kis liye tark-e-marāsim par ho āmāda kaho
kyā koī ham se ziyāda tum ko pyārā mil gayā
dāstāñ apnī sunā kar ham ne samjhāyā use
jab kahīñ ham ko koī bhī ġham kā maarā mil gayā
mil gayā hai saath us kā zindagī bhar ke liye
yā'nī ai 'sāhil' hameñ hissa hamārā mil gayā
us ki banhon mein simaTne ka jo chaara mil gaya
yun laga jine ka hum ko lutf sara mil gaya
hausla jaga to maujon mein kinara mil gaya
Dubne walon ko tinke ka sahaara mil gaya
rakh den qadmon mein tere duniya ki sab ranginiyan
surmai aankhon ka teri jab ishaara mil gaya
kar rakhe hain apne jalwon se munawwar bastiyan
husn ka jis jis ko bhi tere utara mil gaya
kis liye tark-e-marasim par ho aamada kaho
kya koi hum se ziyaada tum ko pyara mil gaya
dastan apni suna kar hum ne samjhaya use
jab kahin hum ko koi bhi gham ka mara mil gaya
mil gaya hai sath us ka zindagi bhar ke liye
ya'ni ai 'sahil' hamein hissa hamara mil gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.