uski baaton mein hai shamil zindagani kis qadar
us kī bātoñ meñ hai shāmil zindagānī kis qadar
saada lafzoñ meñ haiñ poshīda ma.ānī kis qadar
kyā ḳhabar tujh ko mire sahrā meñ kitnī tishnagī
ilm kyā mujh ko tire dariyā meñ paanī kis qadar
bah ga.iiñ āḳhir kināroñ par khaḌī fasleñ tamām
jū-e-ḳhūñ meñ in dinoñ aa.ī ravānī kis qadar
hijr ke lambe safar se kyā huā hāsil likheñ
kis qadar nākāmiyāñ haiñ kāmrānī kis qadar
gum-shuda mausam palaT kar phir kabhī aate nahīñ
yaad aatī haiñ magar bāteñ purānī kis qadar
us ki baaton mein hai shamil zindagani kis qadar
sada lafzon mein hain poshida maani kis qadar
kya KHabar tujh ko mere sahra mein kitni tishnagi
ilm kya mujh ko tere dariya mein pani kis qadar
bah gain aaKHir kinaron par khaDi faslen tamam
ju-e-KHun mein in dinon aai rawani kis qadar
hijr ke lambe safar se kya hua hasil likhen
kis qadar nakaamiyan hain kaamrani kis qadar
gum-shuda mausam palaT kar phir kabhi aate nahin
yaad aati hain magar baaten purani kis qadar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.