uski baaton pe jo hairan nahin hote hain
us kī bātoñ pe jo hairān nahīñ hote haiñ
us ke nazdīk vo insān nahīñ hote haiñ
ham jo iz.hār nahīñ karte to is kā matlab
tū samajhtā hai pareshān nahīñ hote haiñ
in meñ to qaid kiyā jaatā hai ehsās-e-jurm
aadmī ke liye zindān nahīñ hote haiñ
phuul sajte haiñ yahāñ gesū-e-raushan meñ faqat
gul-badan ke liye guldān nahīñ hote haiñ
aaj markaz meñ koī mar gayā shāyad varna
markazī rāste sunsān nahīñ hote haiñ
duniyā-dāroñ kī na bātoñ meñ tum aanā ki yahāñ
itne bhī ‘ālam-e-imkān nahīñ hote haiñ
us ki baaton pe jo hairan nahin hote hain
us ke nazdik wo insan nahin hote hain
hum jo izhaar nahin karte to is ka matlab
tu samajhta hai pareshan nahin hote hain
in mein to qaid kiya jata hai ehsas-e-jurm
aadmi ke liye zindan nahin hote hain
phul sajte hain yahan gesu-e-raushan mein faqat
gul-badan ke liye guldan nahin hote hain
aaj markaz mein koi mar gaya shayad warna
markazi raste sunsan nahin hote hain
duniya-daron ki na baaton mein tum aana ki yahan
itne bhi ‘alam-e-imkan nahin hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.