uski ek ek baat ka humne kaisa kaisa pas kiya

uski ek ek baat ka humne kaisa kaisa pas kiya
Kamal Ahmad Siddiqi
MORE BYKamal Ahmad Siddiqi
us kī ek ik baat kā ham ne kaisā kaisā paas kiyā
jism ko us ne libās kahā to ham ne tark-e-libās kiyā
us ko dekh ke maiñ chup chup thā us ne samjhā sakta hai
ā.īne par aañsū chhiḌke jaane kyā ehsās kiyā
jo patthar bhī mere sar pe lagā vo āḳhir mom huā
jis par us kā dil aaya us patthar ko almās kiyā
munsif ek qatār meñ sharminda sharminda baiThe the
sannāTā thā jab sarmad ne 'adālat meñ ijlās kiyā
nik.hat-e-gul meñ us ke badan kī ḳhushbū bād-e-sabā laa.ī
us kī yaad ne dil ko masosā jī ko bahut hī udaas kiyā
laal huī insāñ ke lahū se ayodhya kī saarī dhartī
raam ko chaudah saal nahīñ jīvan bhar ko banbās kiyā
ham ko dekh ke us ke hoñToñ par aa.ī thī ik muskān
ham ko gumān hue haiñ kyā kyā kyā kyā ham ne qayās kiyā
ek hasīñ ko kahte sunā vo kitnā ḳhud-sar shā'ir thā
ham ne 'kamāl' ko sidhh kiyā hai ham ne 'kamāl' ko daas kiyā
us ki ek ek baat ka hum ne kaisa kaisa pas kiya
jism ko us ne libas kaha to hum ne tark-e-libas kiya
us ko dekh ke main chup chup tha us ne samjha sakta hai
aaine par aansu chhiDke jaane kya ehsas kiya
jo patthar bhi mere sar pe laga wo aaKHir mom hua
jis par us ka dil aaya us patthar ko almas kiya
munsif ek qatar mein sharminda sharminda baiThe the
sannaTa tha jab sarmad ne 'adalat mein ijlas kiya
nikhat-e-gul mein us ke badan ki KHushbu baad-e-saba lai
us ki yaad ne dil ko masosa ji ko bahut hi udas kiya
lal hui insan ke lahu se ayodhya ki sari dharti
ram ko chaudah sal nahin jiwan bhar ko banbas kiya
hum ko dekh ke us ke honTon par aai thi ek muskan
hum ko guman hue hain kya kya kya kya hum ne qayas kiya
ek hasin ko kahte suna wo kitna KHud-sar sha'ir tha
hum ne 'kamal' ko sidhh kiya hai hum ne 'kamal' ko das kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.